Sunday, March 27, 2011

Ek Din


Shelf par ek puraani kitaab hai,
Dost ek mera mujhse naaraz hai,
Office mein ek ladki hai,
Mom meri gusse mein hai,
Gaadi ek ghar ke bahar hai,
Ghar ke chatth pe ek nazaara hai,
Filmon ki DVD bahut zyaada hai,
Ipod mein gaane thode kam hain
Whisky ki ek botal Dad ke cupboard mein hai,
Bag ka ek zip toota hua hai,
Boss mera zaalim hai,
Kaam bhi kuch khaas nahi hai,
Dost hai ek meri bahut pyaari si,

Woh kitab padoonga ek din
Us dost ko phone karoonga ek din, "Abey, kaminey kya hua?" poochonga usse, Kaan pakad ke maafi maangoonga ek din
Us office ki ladki ko coffee peene bulaoonga ek din,
Mom se kahoonga "Aloo ke parathe accha banaathi ho" ek din
Us gaadi ko chalana seekhonga ek din,
Us nazaare ko din dhalte mehsoos karoonga ek din,
Un Filmon ki DVDs ko dekhoonga ek din,
Ipod mein gaane bharoonga ek din
Us whisky ki botal se ek peg chori chupe piyoonga ek din,
Us bag ke zip ko theek karoonga ek din
"Tu jaaye bhaad mein" apne boss se kahoonga ek din,
Bin bole kaam chodd doonga ek din,
"Mujhse shaadi karegi?" apni us dost se poochoonga ek din.

No comments: